Udasi k ufaq pe jab
tumhari yad k jugnu chamakte hen.
To meri rooh pe hijar ka
rakha hoa pathar.
Chamakti barf ki surat pighalta he.
Agarcha yon pighalne se
ye pathar sang'reza to nhi banta.
Magr aik hosla sa dil ko hota he.
K jese sar'basar tareek shab min bhi.
Agr aik zard'roo sehma hoa taara nikal aye.
To qatil rat ka be-ism jadu toot'ta he.
Musafir k safar ka
rasta to kam nhi hota.
Magr taare ki chilman se.
Koi bhoola hoa manzar
achanak jagmagata he.
Sulagte paon min
aik aabla sa phoot jata he.
No comments:
Post a Comment