Ajab pagal si larki he.
Mujhe har khat min likhti he.
Mujhe tum yad karte ho?
Tumhen min yad ati hon?
Meri baten satati hen?
Meri neenden jagati hen?
Meri aankhen rulati hen?
Falak k sab sitaron ko
meri baten sunate ho?
Kitabon se tumhare
ishq min koi kami ayi?
Ya meri yad ki shiddat se
ankhon min nami ayi?
Ajab pagal si larki he.
Mujhe har khat min likhti he.
Jawab yon us par likhta hon.
Meri masrufiyat dekho.
Subah se sham Office min
chiragh-e-umar jalta he.
Phir us k bad duniya ki
kai majburiyan paon min
beriyan dal deti hen.
Mujhe chahat se
bhare sapne nhi dikhte.
Tehalne, jagne,
rone ki mohalat hi nhi milti.
Sitaron se mile arsa hoa.
Kitabon se shagaf
mera abhi wesa hi qaim he.
Farq itna para he ab
unhen arse min parhta hon.
Tumhen kis ne kaha pagli
tumhen min yad karta hon.
K min khud ko bhulne ki
musalsal justaju min hon.
Tumhen na yad aane ki
musalsal justaju min hon.
Magr ye justaju meri
bht nakam rehti he.
Mere din rat min ab bhi
tumhari sham behti he.
Mere lafzon ki har
maala tumhare nam rehti he.
Tumhen kis ne kaha pagli
tumhen min yad karta hon.
Unhen hum yad karte hen
jinhen hum bhool jate hen.
Ajab pagal si larki ho.
Tumhen dil se bhulaon to
tumhari yad aye na.
Tumhen dil se bhulane ki
mujhe fursat nhi milti.
Aur is masruf jeewan min
tumhare khat ka aik jumla.
Tumhen min yad aati hon?
Meri shiddat min.
Kami hone nhi deta.
So agli bar khat min ye jumla nhi likhna.
Ajab pagal si larki he.
Mujhe phir bhi ye likhti he.
Mujhe tum yad karte ho?
Tumhen min yad aati hon?
No comments:
Post a Comment