Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 1, 2013

barish ki awaz

Aj bht din bad suni he barish ki awaz.

Aj bht din bad kisi manzar ne rasta roka he.

Rim jhim ka malboos pehan kar yad kisi ki ayi he.

Aj bht dinon bad achanak ankh yon hi bhar ayi he.

Ankh or manzar ki wasat min charon janib barish he.

Or barish min door kahin ik ghar he jis ki.

Aik aik eent pe tere mere khwab likhe hen.

Or us ghar ko jane wali kuch galiyan hen.

Jin min hum donon 
k saye tanha tanha bheeg rahe hen.

Darwaze pe qafal para he
 or dareeche soone hen.

Diwaron pe jami hoi kayi min chup kar.

Mosam hum ko dekh rahe hen.

Kitne badal hum donon ki ankh se ojhal.

Baras baras kar guzar chuke hen.

Aik kami si, aik nami si.

Charon taraf phel rahi he.

Kai zamane aik hi pal min.

Baham mil kar bheeg rahe hen.

Andar yaden sookh rahi hen.

Bahar manzar bheeg rahe hen.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...