Mohabbat gar fasana he.
To phir inkaar he hum ko.
K meri aankh min
roshan tumhare nam k jugnu.
Mere dil min darakhshan
sab tumhari yad k pehlu.
Meri sochon pe hawi
wo tumhari qurb ki khushbu.
Mere jazbon ki sachayi,
wafaon k rang-o-lahu.
Koi farzi kahani hen
na hi afsana koi.
No comments:
Post a Comment