Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 15, 2013

toot jata hai


Merey wahm-o- guman se bhi zyada toot jata hai.
Ye dil apni hadoon mein reh kar itna toot jata hai.

Mein roaoon to daro dewar mujh pey hansney lagtey hain.
Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai.

Mein jis lamhey ki khawahish mein safar karta hoon sadyoon sey.
Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai.

Merey khwaboon ki basti sey janazey uthtey jatey hain.
Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai.

Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari
Zara si thees lagti hai zara sa toot jata hai

Dil e nadan hamari to namo hi na muqamal thi
To herat kya jo bantey hi irada toot jata hai

Muqadar mein merey sagar shikast o rekhat itni hai
Mein jis ko apna keh doon who sitara toot jata hai…………….

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...