Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 15, 2013

Gar Shaam Ka Bhoola Hai


Kia Jaaniye Woh Dil Se Uter Kiyon Nahin Jataa
Gar Shaam Ka Bhoola Hai To Ghar Kiyon Nahin Jataa

Hum Ko Nahin Maloom Key Ujrey Huye Dil Se
Awaara-Mizaji Ka Asar Kiyon Nahin Jataa

Kia Baat Hai Sadkon Pe Uterti Nahin Ronak
Kia Submeed Hai Is Sheher Se Darr Kiyon Nahin Jataa

Sadion Se Tujhy Takty Huye Soch Raha Hoon
Jee Tery Khad-O-Khaal Se Bhar Kiyon Nahin Jataa

Aankhon Se Udaasion Kee Ghataa Kioyn Nahin Chat-Ti
Seeny Se Mohabbat Ka Bhanwar Kiyon Nahin Jataa

Thehraa Hai Jo Ik Qaafla-E-Gham Mery Dil Mein
Iss Choti See Bastee Se Guzar Kiyon Nahin Jataa

Saanson Se Mery Larzish-E-Gham Kiyon Nahin Jatee

Pairon Se Mery Zakm-E-Safar Kiyon Nahin Jataaا

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...