Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, October 24, 2012

Ajab mushkil mein hon

Ajab mushkil mein hon
 Main jana. . .!
Kron main kya mujhe sumjha do na,
Koi hall bata do na,
Main mushkil mein hon,
Duniya k changal mein hon,
Mujhe yahan se nikalo na,
Tumhein pata ha,
Yahan apni khawahishon k chakr main,
Apne mufad ki khatir,
Kai jzbon ko,
Kisi k armano ko,
Zaroort ki chadr orah kar,
Majboori ka kafan pehna kr,
Rishton ki suli charhaya jata ha, 
jana . . . . . !
Tumhein bataon . . 
Is be faiz duniya mein,
Kisi ka ehsan mt lena,
K us ehsan ki khatir,
Tumhein apne eradon ki jaan deni ho gi,
Kahaa ye jata hai k hum mazhabi log,
asoolon pay mbbni humari zindagi,
Jana . . . . . !
Maine dekha hai,
Chehron par naqaboon ko,
Maily dilon ko,
Masoom chehron mein shetano ko,
Makkar shekari k manid,
Chup k war krty hain,
Mujhe dar lgne lga hai,
Meri jaan . . . . !
Aese hi waroon se
Mujhe tum bacha lo na,
Ajab mushkil mein hon,
Main jana. . . . . !
Mujhe is uljhan se nikalo. . . . . . . . !
Main ajab mushkil mein hon.
(Nazim Ali)


 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...