Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, June 29, 2011

Gungunate howe Aanchal ki hawa de muje ko

Gungunate howe Aanchal ki hawa de muje ko
Ungliya pher ke balon main sula de muje ko

Yaad kar ke muje ko taqleef hi hoti ho gi
Aik qisa ho purana sa bhula de muje ko

Dobte dobte awaaz teri sun jawo
Akhari bar tu sahil se sada de muje ko

Dekh main ho gaya badnaam kitabon ki tarah
Meri tashheer na kar ab tu jala de muje ko

Rothtna tera meri jan leye jata hai
Aise naraz na ho hans ke dekha de muje ko

Yehi auqat hai meri tere jewan main ke main
Koi kamzoor sa lamha ho bhula de muje ko

Aur kuch bi nahi manga kere Malik tuje se
Is ki galyon main pari khak bana de muje ko

jee rahe hain

sh jab bhi uski chhat ko bhigoti hogi
wo bhi meri yaad mein roti hogi
wo kare lakh mana magar mera naam sunkar
halki si chubhan uske dil mein bhi hoti hogi
Hum to luta chuke hain sab kuch pyar mein
ab chain se wo bhi kahan soti hogi
Ji rahe hain milan ke chand lamhon ke sahare
wo bhi akele mein meri yaadein sanjoti hogi …

jab tammanna phool si khil jayagi
tab koi payari gazal ban jayagi
ho bhalayi ka tassavoor zahan main
ye zameen jannat tabhi ban payagi khushbuain ho jab fiza main payar ki
her kali phir phool ban khil jayagi aankh se annsu uthaker pijiye
phir dilo ki durian mit jayagi
apne derwaze se kundi khol de
padosion ki khidkiyan khul jayagi gair ke gam ko tu apna jaan le
khak-a dunia main bahar aa jayagi

Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhe mere yaar ley chalo
Shayed yeh mera vehm ho, mera khayal ho
Mumkin hai us ko mere baad, mera malal ho
Pachta raha ho ab mujhe, dar sa utha ke woh
Baitha ho meri raah mein, aankhain biccha ke woh
Us ne bhi to kiya tha mujhe pyar, le chalo…
Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo…….
Deewana keh ke logon ne har baat taal di
Duniya ne mere paaon mein zanjeer daal di
Chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do
Yaaron yeh merey paaon ki bedi utar do
Us ne kiya hai milne ka iqrar, ley chalo

wo roye to bahot

wo roye to bahut par mujhse muh mod ke roye,
koye majbori hogi jo dil tod ke roye
mere samne kar diye meri tasveer ke tukde tukde,
pata lagamere piche wo unhe jod kar roye,

Keemati palon ko yun na bitana
haste rahna ro kar unhe na rulana
hum yaad hai aapko itna hi kaafi hai
kabhi bhool bhi jana to hume na batna

kab mitenge

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?
Door rehne ki konsi aisi Majburi hogi,
Bina us k Zindagi yakeenan Adhuri hogi
Pyar to wo bhi Hum se Be-Hadd karti hai,
Aayegi tabhi jab apno ki Manzoori hogi
Agar wo nahi aa paye kisi Darr k maare,
Uski Zimmedar bhi ye Dunya Buri hogi
Phirte hain log chehre pe Ronak le ker,
Kab Door Meri Zindagi ki Be-Noori hogi ?
Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?

nikal ke dil se tere waaste sadaa aaye
uthayein haath to yaad ek hee dua aaye
ki teree umr ko duniya kee umr lag jaaye
ki waqt saal gine aour gin ke thak jaaye

bekraar dil

waise dil bekarar nahi,par dilko yuhi karaar nahi..
chaha hai aapko magar,phir bhi aapse pyaar nahi..
bharosa hai aap par magar,dil ko hai aitbaar nahi..
aapko paane ki ummed to nahi,par khone ko hum tayyar nahi.....


Jee chaahta hai tumse pyari si baat ho,khaamosh taare aur lambi si raat ho,
phir saari raat tumse hum kahte rahen,ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho

mujhe dil apna de ker aaj mehrbaan ho jao,
mere dil main uter ker mere jaan ban jao,
main kon hoon, kiya hoon mujhe koi nahen janta,
mere jaan ban ker mere pehchan ban jao

Jis dil mein basa tha pyar tera
uus dilko kabhi ka tod diya
badnaam na hone denge tuze
tera naam hi lena chod diya.
***

rang barsaat ke


Saath Dil k chale Dil ko na roka humne,
Jo na apna tha usse toot ke chaha humne,
Ek dhoke mein kati UMR saari humari,
Kya bataye kise paaya kise khoya humne

Door tak chhaye thay baadal, or kahin sayaa na tha
Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha
Kya milla aakhir tujhay, saayon kay peechay bhag ker
Ay dil-e-nadaan tujhay, kya hum nay samjhaya na tha
Uff ye sannata, kay aahut tak na ho jiss mein mukhal
Zindgi mein iss qadar, hum nay sakoon paaya na tha
Khoob roye chhupp kay ghar ki, chaar deevaari mein hum
Haal-e-dil kehnay kay qabil, koi humsaaya na tha
Ho gaye qallaash jab say, aas ki doulat lutti
Paas apnay or tu, koi bhi sarmaaya na tha
Voh paighember ho kay aashiq, qatul gaah-e-shouq mein
Taaj kaanton ka kissay, duniya nay pehnaaya na tha
Ab khulla jhoonkon kay peechay, chal rahi thin aandhiyan
Ab jo manzar hay, voh pehlay tu nazar aaya na tha

Humne apne vade kuch is tarah nibhaye hain,
Zkham se baha lahu fir bhi muskurayen hain,
Unhe junun apna karz chukane ka,
Apni khushi apna wajud mitane ka
Hamain bhi shauq mohabbat aazmane ka,
Inhi haathon se unki sej sajayen hain
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Guzarish unki aankhe nam na ho meri,
Diya jo vada to na uff karenge kabhi,
Ashkon ke dariyon ko tham lenge yahi,
Kosish mai hoton ne kitne ghav khayen hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Dua hai ki ab zindagi mai koi majburi na ho,
Jise tum milo us se ab koi duri na ho,
Meri tarah uski kismat adhuri na ho,
shaakh se gir kar kai phool murjhayen hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain

Meri Khamoshi thi jo Seh Gayi
Uski yaadein hi ab dil mein reh gayi
Thi shayad uski bhi koi majburi
Aaj meri kahani fir adhuri reh gayi....
_________________
rang barsaat ne bhare kuch to
zakhm dil ke hue hare kuch to
fursat-e-bekhudi ganeemat hai
gardishein ho gayin pare kuch to
kitne shoreedah sar the parwaane
shaam hote hi jal mare kuch to
aisa milna nahin tera milna
dil magar justujoo kare kuch to
aao! Dharam koi ghazal chherein
jee bahal jayega are kuch to

julm

Kis kadar zulm dhaya karti ho,
Yeh jo tum bhool jaya karti ho,

Kiska ab haath rakh ke seene par,
Dil ki dhadhkan sunaya karti ho,

Hum jahan chaye peene jaate the,
Kya waha ab bhi aaya karti ho,

Koun hai ab ke jiske chehre par,
Apni palkon ka saaya karti ho,

Kyo mere dil mein rakh nahI deti,
Kis liye gam uthaya karti ho,

Phone par geet jo sunaati thi,
Ab wo kis ko sunaya karti ho,

Aakhiri khat mein usne likha tha,
Tum mujhe yaad aaya karte ho.

tum maang rahe ho

HUM APNE GHUM KO SAJA KAR BAHAAR KAR LENGE
TERE KHAYEALON KO THORA SA PYAR KAR LENGE
MOHABBATON KI KAHAANI TUJHE SUNAYEN GE
HAWA CHALE GI TO AANCHAL KI YAAD AAYE GI
GHATA UTHE GI TO KAAJAL KI YAAD AAYE GI
TERE HASEEN TASAWWUR KO PYAR KAR LENGE
YUN YAAD HUM BHI TUJHE BAAR BAAR KAR LENGE
JO PYAR KARTE HAIN WOH IN GHAMON KO SEHTE HAIN
MOHABBATON ME TOOFAAN AATE HI REHTE HAIN
TUMHAARE NAAM KO DHARKAN K SAATH RAKH LENGE
TUMHAARE CHEHRE KO DARPAN K SAATH RAKH LEN GE
YEH DOORIYON KA SAMANDAR BHI PAAR KAR LEN GE
TAMAAM UMAR TERA INTIZAAR KAR LENGE.....
Hasne nahi deta kabhi rone nahi deta
Ye dil to koi kaam bhi hone nahi deta

Tum maang rahe ho mere dil se meri khwaish
Bachcha to kabhi apne khilone nahi deta
Main aap uthata hun shab-o-roz ki zillat
Ye bojh mera dil kisi ko dhone nahi deta

Wo aajkaha hai isse to mai wakif bhi nahi hun
Jo mujhko kisi or ka hone nahi deta....
mazloom ki anho ke nisane nahi baithe,
jalim ke abhi hosh theekane nahi baithe,
our jo waqat ne aise bhi maoke hame bakhshe hai,
hum fir bhi buzurgo ke shirhane nahi baithe,

umar kat chuki


Wada tod ke muskurate hai woh,
Dekhna unhe ek din pachtana hoga,
Mudaaton kiya hai intezar sanam ka,
Umar kat chuki hai ab to unhe aana hoga.......
Roye hai bohot tab zara karaar mila hai,
Iss jahan mein kise sacha pyar mila hai,
Guzar rahi hai zindagi imtehan ke daur se,
Ek khatam hua to dusara tayar mila hai,
Mere damaan ko khushiyon ka nahi malaal,
Ghum ka khazana jo issko beshumar mila hai,
Woh kam naseeb hai jinhe apnapyaar mil gaya,
Main khushnaseeb hu mujhe to intezar milahai.................

Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi


teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota!!!!!!

laot ke aane wale


laut ke ab to aa ja oh jaane waale
jeene nahi dete ye zamaane waale

teri yaad me kahin pagal na ho jaaon
koi sada to de de bhulaane waale

sari sari raat jin bahoon me guzarti thi
kahan hain ab wo haath muje sulaane waale

"sun le, tere bin ik pal sadi jaisa lagta hai"
aankhoon me intezaar sajaane waale

ab to apne bhi gaali taane dete hain
pahle kya kam thay ungliyaan uthaane waale

meri bebasi aik mazaaq ban ke rah gai hai
bare be-reham hain mazaaq uraane waale

"kabhi nahi aae ga wo laut kar"
kaafir hain log aisi afwaa pahlaane waale

muaashray mein har koi izaat ki baat karta hai
magar tamaashai hote hain izaat uchaalne waale

yahan to door kharay ho kar "nazara" dekhte hain
paani bhi nahi daalte aag lagaane waale

har akeli aurat ko tawaaif kiyon samaj lete hain
log kothay par naach nachaane waale

dam nikalne waala hai - ab to aa ja zalim
qandhay kam parh ge hain janaza uthnaae waale

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...