Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, July 18, 2012

Soch Loo Chalne Say Pehlay

Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai
Ishiq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Dewar Hai
Phir Faraib’bay’Roz’o'Shab Ki Dosti Mumkin Nahi
Kar Diya Inkar So Inkar Hai !Inkar Hai
Itna Khush Hona Nahi Acha Ab Us K Qarb Main
Hijar Bhi In Vesaal K Lamhoo Ka His’say’dar Hai

Is Taraf To Rastoon Main Dhool See Urr’nay Lage
Ab To Jaa K Daikhna Hai Jo Samandar Par Hai

Phir Hawa’ayee’Sehar Mujh SaY Mun’harif Honay Lagi
Phir Mere Hintoon Pe Tere Naam Ki Takrar Hai

Ab Kahan Cho’yee’gi Us K Dil Ko Sach Ki Roshni
Jis K Hathoon Main Abhi Taak Jhoot Ki Talwaar Hai..!






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...