Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, July 18, 2012

Jise Main Pyar Karta Hu....

Na Kisi Or Ki Tamanna Hai Na Mai Pariyo Pe Marta Hu..
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hoon...
Kahu Kyo Chand Usko,
Wo Mujhse Door Rahti Hai,
Kahu Kyo Phool Jo Murjhane Pe Majbur Rahti Hai....

Kahu Kyo Hur Jiska Dusari Duniya Me Dera Hai,
Pari Main Kyo Kahu Jiska Paristan Me Basera Hai,
Sharab Kahu Kyo Jo Hosh Sabke Udati Hai,
Bahar Usko Kahu Kyo Jo Khiza Bhi Saath Lati Hai,

Main Koi Aur Naam Usko Du Iski Kya Jarurat Hai..
Wo Ek Ladki Hai Wo Sharmo Haya Ki Ek Murat Hai,
Usiki Yaad Main Main Zindagi Ke Rang Bharta hu..
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hu,

Wo Meri Jeet Ka Hasil,
Mataye Naujawani Hai....
Na Wo Khawabon Ki Malika Hai Na Wo Sapno Ki Raani Hai...
Ada Uski Anokhi Hai,Chal Uski Nirali Hai...
Wo Ek Gori Si Ladki Hai Jo Bahut Bholi Bhali Hai........

Main Samjha Bhi Nahi Sakta Ke Kitna Pyar Karta Hu,
Main Bata Bhi Nahin Sakta Ke Uspe Kitna Marta Hu,
Agar Ek Baar Wo Ruthi To Main Pahro Manata Hu,
Kabhi Usko Hasata Hu Kabhi Usko Satata Hu....

Zarurat Se Zyada Hi Main Uske Naaz Uthata Hu
Aur Main Sabke Samne Usko Sar Aankhon Par Baithata Hu,
Na Aaraish Aasand Usko Na Fashion Ki Dil Jyada,
Mijaz Uska Haya Parwar Libas Uska Bahut Sada,

Wo Apni Sadgi Ko Husn Ki Meraj Kahti Hai,
Payam Apni Haya Ko Apne Sar Sa Taaj Kahti Hai,
Na Wo Had Se Guzarti Hai Na Main Had Se Guzarta Hu,
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hu.... 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...