Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, July 18, 2012

Silsily Taiz Hain Hawaon K

Silsily Taiz Hain Hawaon K
Cheekhti Raat
Aaj Bhaari Hy
Karwatain
Raat or Be'chaini
Ek Udasi Hy
Beqarari Hy

Mukhtasir Din
Taveel Ratain Hain
San'snaati Hawaon Ka Hy Shoor
Garm Kamron Ki Hain Panah Gaahain
Moosla Dhaar Barishon Ka Zoor

Reengty Khamoshi Se Andhere
Surmai Rut Dhuwan Dhuwan Hy Fiza
Tor Jati Hy Daaliyon K Badan
Cheekhti
Tez-O-Tund Sard Hawa

Nachti Hein Fiza Me Yon Boondain
Jese Jhankar Teri Payal Ki
Hont Khamosh Hain Badan Bojhal
Jese Umeed Koi Ghayal Si

Larzan Larzan Ye Zerd Se Paty
Nangy Peron Pe Phar'pharaty Hain
Sard Jhonky
Udaas Shamon K
Dhool Yadon Ki Chor Jaty Hain



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...