Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, July 20, 2012

RAMZAN Ki Amad Hai

RAMZAN Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai

Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein

Dar-e-taurba Khula Hai Is Mahine Mein
Firdous Ki Khusboo Ati Hai
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous

Ao Aaj Hum Koshish Karein

Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin
Ibadatoon Ke Is Door Mein
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat

Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye

Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein
Ramadhan Ki Amad Ki Khusi Hai Bahut
Saath Hi Is Ke Jald Roohsat Ho Jaane Ka Ghum

Khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt

Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par
Ramadhan Ke Roohsath Hone Se Pehle
Dar-e-tauba Band Hone Se Pehle

Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein

Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake


 

AP SUB LOGON KO MERI TARF SY
 IS MUBARAK MAHENY KI AMMAD MUBARAK HO
***DUA***
AYE ALLLAH HUM  SUB KO IS MAHENY
 MAIN APNI RAHMAT SY NAWAZNA...... 
namaz parhny  ki tofiq... 
roza rakhny ki himat sbar ....... 
or apny gunnah ki toba kary ki himat peda karna .....
taky hum apny kye jany waly gunnhaon 
ki mafi mang sakain or is maheny ky 
zarye apni any wali zandgi ko ......
 gunnah sy pak kar sakain .......
AMEEN sumAMEEN
apni duaion main muje bi yad rakhye ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...