Koi sun na le ye soch k ghabraya hoga
Soch k apne hi iss pyaar bhari harkat pe
Tu man hi man tab haule se muskuraya hoga
Machal gaya hoga tu fir ek baar mujhe chhune ko
Mera chehra teri nazron me fir se samaya hoga
Nahin nahin wo mahin mil sakti tujhe ee dil
Tune fir ek baar apne iss dil ko samjhaya hoga

No comments:
Post a Comment