Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 26, 2012

Mataa-e-zeest


                                                       meray ajnabi

meray bay-khabar
meray haath maiN kahaan ye hunar
k main beech raah sey wapsi ka
khayaal dil mein bhii la sakuN
tumhain chohR kar kisi moR par
kisi aur rastay pe jaa sakuN
meray chaara-saz-o-rafiq-e-jaaN
meray ajnabi meray aashna
koi aisa wesaa gumaN na kar
mujhay teray sath sey baRh k tou
kisi hamsafar ki talab nahi
k jo haath main tera hath hey
tou safar hii meri hayaat hey
ye safar thamay ga....
tou mera naam-o-nishaN kahan?
meray hamsafar
main teray bina
kahiN moat-o-zeest k darmiyaaN
na zameen meri na aasmaaN
meray badgumaaN meray mehrbaaN
meray raah-bar
meri iltajaaoN pe dhiyaaN kar
meri zindagi k safar ko dil sey dawam day
meri manziloN ko dhuwaaN na kar
tera saath hey meri zindagi
mujhay is tarah be-amaaN na kar...!








No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...