Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 26, 2012

Chalo khatam hoi


Chalo khatam hoi aaj se dastaan_e_mohabbat
Ab hum tareekh_e_wafa main tera naam kanda kerte hain
Chalo aaj se hum chahat k zindaan main muqeed hoye
Teri yaad k sehra main dard_e_maazi ki waeed hoye
Chalo ab kitaab_e_zeest se auraq_e_wafa palatte hain
K ab hum wafa ko jafa likhen ge, saza likhen ge...!

K ab hum apni bheegi janwari ki shuroaat
Tere bakhse hoye azaab_e_tanhai se kerte hain
Chalo ab tumhari mohabbat ki umr-qaid muqaddar hoi
K hum ko wafa nibhaane ki saza to milni thi
Chalo ab hum apne haathon ki lakeeron se
Tera aks_e_jaan mita dain ge
Qalb_e_jaan main saji tasveer_e_mohabbat
Shab ki tanhai main chupke se hata dain ge...!

Is per bhi sehar koi gham nahi hota
K hum ko zamaane main teri ruswaai manzoor nahi
Shayad isi liye ye lehja gham nahi hota
Magar jab faseel_e_jaan se saans ukharrti hai to
Aese main hum aseer_e_mohabbat
Phir se ahed_e_wafa dohraane lagte hain
Itne zakhm khha kar bhi
Nishtar jaan ko teri aankhon ka
Surmai samander yaad aata hai...!

Aise main hum dair tak mazaar_e_mohabbat per
Nuha-giri kerte hain, aahain bharte hain
Aese main yaad_e_maazi ki her yaad
Nakhl_e_yaadan se mahev ho jaati hai
Aese main bus december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
Alwidaai manzer yaad aata hai
Aese main humen tu bhi nahi, teri chahat bhi nahi
Bus woh moabbat ka aakhri december yaad aata hai

Haan! Bus wo aakhri december...!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...