bohat mumkin tha
mere paon meri zeest k kantey
nikal jate
bohat mumkin tha
meri raah k pathar pighal jatey
jo diwarein mere rastey mein hayel thi
mere agey se hat jati
agar tum ankh utha kar dekh letey
kohsaron ki taraf aik pal
chatanein ik tumhari junbsh-e-abru se kat jati
bohat mumkin tha
angaron bhari is zindagi mein
tumhare paon k ujley kanwal khiltey
rafaqat ki sunehri jheel mein
dono k aks-e-zulfishan hiltey
bus ik khwab -e- musalsal ki fiza rehti
hamari rooh hum se kab khafa reti?
ye sab kuch ain mumkin tha
agar tum mujh ko mil jatey
No comments:
Post a Comment