Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 16, 2012

SUNANA CHAHTA HOON

AJEEB SHAKHS HOON KHUDH KO JALANA CHAHTA HOON,

MEIN KHUDH KO RAKH KAR KAHE BHOOL JANA CHAHT HOON,
MERAY NASEEB KI KHUSHIYAN BHI KAB MILLI MUJHKO,

BAS AB TO UMER BHAR ANSOO BAHANA CHAHTA HOON,
NAJANEY KITNI MOHABBAT HAI RANJ-O-GHAM HAI MUJHEY,

KOI BHI DARD HO DIL MEIN CHUPANA CHAHTA HOON,
BAHA BAHA KE YEH ANSOO BIKHAR CHUKA HOON BOHAAT,

SIMAT KE ZAAT MEIN AB MUSKURANA CHAHTA HOON,
JISEY AIK UMER SE DIL MEIN BASA KAI RAKHA HAI,

WOH RAAZ AAJ MEIN SAB KO BATANA CHAHTA HOON,
WOHI YAAD HAI JO ACHA KAHA HAI LOGO NE,

BAQAYA SAREY SITAM BHOOL JANA CHAHTA HOON,
MUJHE ZAMANEY NAI PATHAR SAMJH LIYA HAI MAGAR,

MEIN AIK INSAN HOON SAB KO BATANA CHAHTA HOON,
JO MUJH SE RUTH CHUKY HAIN ZAMANEY KI KHUSHIYAN,

TO MEIN BHI KHUSHYON SE AB RUTH JANA CHAHTA HOON,
WOH MERI KHWAHISHEIN WOH MERA KHUWAAB WOH MERA BACHENI,

UMER RAFTA MEIN PHIR SAI WOH PANA CHAHTA HOON,
KOI TO HO JO MUJHE BHI LAGAYE SEENAY SE,

KISI KO MEIN BHI GHAM APNA SUNANA CHAHTA HOON

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...