Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 16, 2012

Haara Hoon Na Jhuka Hoon

Ye Baat Alag Hai Ke Haara Hoon Na Jhuka Hoon,
Ik Umr Mgr Zulm Ki Chakki Me Pisa Hoon,
Ye Kis Ne Kaha Chahat-e-Betab Nahi Mujh Mein,
So Baar Gira Hoon To Main So Baar Utha Hoon,
Zakhmi Hoon To Maghrur Samajte Hein Mujhe Log,
Maghrur Sahi Janib-e-Manzil To Chala Hoon,
Gard Utri To Chamkun Ga Usi Talab Se Kal Bi,
Kya Gham Ke Aaj Main Mitti Mein Mila Hoon,
Doon Sb Ko Main Apni Safai To Bhala Kiun,
Main Samney Hoon Sb K Bura Hoon K Bhala Hoon…..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...