Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, January 25, 2012

Deewar hai kisi ki, dareecha kisi ka hai

Deewar hai kisi ki, dareecha kisi ka hai
Lgta hai ghar ka ghar hi asasa kisi ka hai

Ik aur hath bhi hai pas-e-raqs heela jo
Hum tum tou putliyaan hain, tamasha kisi ka hai

Yeh jo hain mere paon kisi aur ke na hon
Chal mein raha hon, Naksh kuf e paa kisi ka hai

Ashkon se bhar raha hon mein apni dareeda mashk
Itne barss ke bad bhi darya kisi ka hai

Kese kahoon ke apni zubaan bolte hain hum
Alfaaz shayed apne hon, lehja kisi ka hai

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...