Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, December 9, 2011

Yun hi besabab na phiraa karo

Yun hi besabab na phiraa karo, Koi shaam ghar bhi rahaa karo,

Wo Ghazal ki sachchi kitab he, Use chupke-chupke padha karo,
Koi haath bhi na milaayegaa, Jo gale miloge tapaak se,

Ye naye mizaaj kaa shahar hai, Zaraa faasale se milaa karo,
Abhi raah me kai mod hain, koi aayegaa koi jaayegaa,

Tumhen jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane ki duaa karo,
Mujhe ishtahaar sii lagatii hai, Ye mohabbaton ki kahaaniyaan,

Jo kahaa nahin wo sunaa karo, Jo sunaa nahin wo kahaa karo,
Kabhi husn-e-pardaanashi bhii ho zaraa aashiqaanaa libaas me,

Jo me ban-sanwar ke kahe chalu, Mere sath tum bhi chala karo,
Ye Khizaa ki zard-sii shaam mein, Jo udaas ped ke paas hai,

Ye tumhaare ghar kii bahaar hai, ise aansuon se haraa karo,
Nahin behijaab vo chaand saa ki nazar kaa koi asar nahin,

Use tani garmi-e-shauq se bandi der tak na takaa karo,



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...