Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, December 9, 2011

Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum

Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum
Buhat se kaam muqaddar pe taal rakhte hain

Koi bhi faisla hum soch kar nahii kartay
Tumhare naam ka sikkaa uchhaal rakhte hain

Tumhare baad ye aadat si ho gayii apni
Bikherte sokhte pattay sambhaal rakhte hain

Khushi si milti hai khud ko aziiyaten dekar
So jaan buujh k dil ko nidhaal rakhte hain

Kabhi kabhi wo mujhe hans k dekh lete hain
Kabhi kabhi mera be-had khayal rakhte hain

Tumhare hijr main ye haal ho gaya apna
Kisi ka khat ho usay bhi sambhaal rakhte hain

Khushi mile to tere baad khush nahii hote
Hm apni aankh main hr-dam malaal rakhte hain

Zamane bhar se bacha kar wo apne aanchal main
Mere wujuud k tukray sambhal rakhte hain

Kuch is liye bhi to be-haal ho gaye hm log
Tumhari yaad ka be-had khayaal rakhte hain..!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...