Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, December 17, 2011

na jaane kaunsi majboori use

Zinda hu magar, jeena ab mushkil lagta hai.
har pal ek shakas mujhe tod deta hai.
na lafz hai kuch keh paate, na hi yeh lab.
bass har pal katra aansun mera saath deta hai.

woh kehta hai ki mujhse pyaar karta hai.
phir na jaane kyun kisi aur par aitbaar karta hai.
jo keh na paun woh kavita mein likhti hun,
sochti hun shayad woh khud hi kuch samajh sakta hai.

toot chuki hun main, har ek saans hai ukhad gayi.
jaane kaunsi majboori uski, use mujhse door le gai.
na kasamo ne saath diya, na hi unn waado ne
shayad uski khwahishein ab kuch aur hi ho gai.

jo bol diya agar kuch, toh galat hi samjhega.
jo na kaha agar, toh dil maaf na karega.
meri har hasi ki kashish kahin kho si gai,
na jaane kaunsi majboori use mujkhse door le gai..





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...