Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, December 4, 2012

December





Teri Yaad, Tanhai, Khamoshi, Aur Behty Aansu
Pehli Subha December ki kya kya Tohfy Lai hai!

****

Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh,
Nahi Katta Magar Tanha December !




****************************


کچھ لمحے نومبر کے

ہم نے یوں گزارے ہیں


موسم اسکی یادوں کے


تصویر میں اتارے ہیں



کپکپاتے ہونٹوں سے


ڈگمگاتی دھڑکن سے


ہم نے اپنے خالق سے


بس دعا یہ مانگی ہے



اب کی بار دسمبر میں


جب بھی بادل اتریں تو


بس یہی تمنا ہے



نفرتوں کی بارش میں


دشمنوں کی سازش میں


بس اسی گزارش میں



زندگی کو جینے کا


اختیار مل جائے


اے مرے خدا سب کو


اپنا پیار مل جائے....!!

 ****************************

December lout aya hay


Gaiay Din ..........

gaiay pal loutay nahi

magar mosem lout atay hain

wohi mosem!

jo apni rafaqatoon k ameen rahay

saray lamhay ko dil ko azbar that

suno!

wo mosem lout aiay hain

december lout aya hay

meri khirhki mai thandhi yakh-basta hawa-ian

tumhari hidat chura k laiee hain

khank mosem muj say batien karta hay

tumharay lehjay mai!

bolta hay

wohi mithi si sargoshi

wohi jadu bhara lehja

sochoon to pass ho kitnay

daikhoon jo tum kahi b nahi

december lout aya hay magar ab k

tumharay ehsaas k siwa kuch

kahi b nahi

kuch b nahi  

 ****************************

December Ki Udass rutt
lout ayi hay nami ankhon mein liye
aur keh rahi hay mujhe
k tere waste ab ki baar bhi
mere daman mein sirf tanhayi hay!!!

-------------------------------------



Tuj Say Judai Ka Dukh
Tere Hijr Ka Karb
Dekh! Phir Say Aa Gai Hain
December Ki Sard Ratain
Azab Ratein
Tere Kurb Main Dobi
Khwab-Nak Ratain
Teri Wo Pur Noor Ratain

Tujhe Kia Khaber
December Ki Sard Ratoon Main
Tere Sung Beeti Sardion Ki
Khoshgawar Khobsurat Shamoon Ko Yaad Kerta Hoon
Is Mohoom Si Tamana K Sahare
Teri Talash My
Sarkoon Per Awara Phirth Hoon

Aate Jate Chehroon Main Tujhe Khoja Kerta Hoon
Shayad K Wo Tum Ho

Aur Thak Haar Ker Jo Laut.Ta Hoon
To Khud Per Khob Hasta Hoon
Phir !
Phoot Phoot Ker Roota Hoon

-------------------------------------

December ab k aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay
Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain
Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay
Aur us ko jo bhi pooron say
Nazar say choo gia pal bhar
Mehak utha!

December ab ka aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain
Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain!

December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay
Muhabbat barf jaisee hay yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dabo ker hum
Sunehray khawb buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pe mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin
Magar phir bhi!
December ab k aaou tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!

-------------------------------------

December jab b lot'ta he,
Mere Khamosh Kamre Mein
Mere bister pe bikhri Hui Kitabian Bheg jati hain . . .

-------------------------------------

AB K DECEMBER MAIN.........
MAIN NE BHI KUCH KHAWAB
SAJAI HIAN
APPNI SAARD ANKOON MAIN
PER DAR LAGTHA HAI
KAHI YEH MEREY KHWAAB
PIGAL NA JAIN
DHOPP PHERNE PER

-------------------------------------

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai

-------------------------------------

Raat Uss ne Poocha tha:
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !

Main ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki !

-------------------------------------

December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna
K aaj bhe
Us ki yaad
Kisi k dil main
Mustaqil
Khaima zan hay
Koi aaj bhe usay
Uthtay,bethtay,sotay ,jagtay,
Hanstay,rotay
Yaad karta hay


December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna

K aaj bhe
Kisi ki palkain
Sir e sham he
Us k intizar main
Beech jati hain,
Aaj bhe koi
Us kay liye
Udas rehta hay

December ki sard hawaoon
Us se milo toa kehna
K aaj bhe
Kisi k din rat
Us kay bin
Sogawar guzertay hain,
Aaj bhe
Kisi ki aankhain
Us kay liye
Num rehti hain

December ki sard hawaoo
December ki sard hawaoo
December ki sard hawaoo

-------------------------------------







Suno!
December ki thitharti huii shaamien
Kohar ma lipti dhundaali si subhien
Darakhton se girte huye
Khushk zerd patte
Wo gaaon ke tamaam raste
Mohabbaton ke tamaam rishte
Khayaal abad kerte hain
Tumhein sub yaad kerte hain

-------------------------------------

December jab bhi ata hai
Wo pagli
Phir se beete mosamon ki
Talkhion ko yaad karti hai
Porana card parhti hai
Ke jis main os ne likha tha

Main louton ga december main

Naye kapre banati hai
Wo sara gher sajati hai
December ke her ek din ko
Wo gin gin ker betati hai
Jonhi 15 guzerti hai
Wo kuch kuch toot jaati hai
Mager pher bhi
Porani album ko khool ker
Mazi bolati hai
Nahi maloom ye es ko
Ke beete wakt ki khushian
Boht takleef deten hain
Mahz dil ko jalati hain

Yonhi den beet jaate hain
December lout jata hai
Mager wo khush-fehm si larki
Dobara se calender main
December ke maheene ke
Safhe ko moor ker pher se
December ke saher main doob jati hai
Ke akhir os ne likha tha

Main louton ga december main



 ****************************


Naee hikayat muhabbaton ki
Shikayatoon ki
Bhujhe bhuje se haroof le kar
Kohar mein doobi seyyahoon ki
Warq warq per utaarna hai
Udaas shamoo ke phool chun kar

Suno December
Ussay pukaaro
Ussay bulaaoo
Suno December ... Ussay mila do
Ab is se pehlay ke saans niklay
Ab is se pehlay ke saal guzray
Wohi lakeerain wohi sitaara
Meri lakeeroon mein qaid kar do
Ya aakhri shab ke aakhri pal
Koi bara ikhtitaam kar do
Yeh zindagi bhi tamaam kar do
Suno December ... Ussay mila do...   

 ****************************






 ****************************





 ****************************




 ****************************

Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein
Taiz hawaoo’n mein jhoolay shakh-e-shajar jaisay!
Baat uthay jo meray fusoo’n ki namakdani ki…!
Aankh roti hai phir samandaro’n ke pani ki!
Aah ke jaan mere ab bhi simat jati hai
Garm baho’n mein koi roh pighal jati hai!
Aah jana’n ke ab jism ka rua’n rua’n…
Tery nargasi lams ko tarasta hai!
Narm baho’n ki hiddat ko maira badan
Sard raton mein phir misl-e-sahama jalta hai!
Toot jatay hain bazoo us hawalay se…
Halq-e-ja’n mein aaya wo taira paikr-e-gull!
Ja’n se roh talak aa gie taseer-e-damak
Us hiddat ko mairee rag-o-pe machalti hai!
Rok le khama ke sagar baat badhti hai..
Sard mausum ki ab jub rut badalti hai
Tairee qurbat ko mere jaan youn machalti hai
Jaisay parawanay ko shama se koi door kerday!
Jaisay machlee ko pani se koi juda kerday…!!!



 ****************************



Raat Uss Na Poocha Thah
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !
Main Nay Kehna Chaha Thah
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai
Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki !


 ****************************




 ****************************



December ....
Ab bhi Tera muntazir Hay .!

woh Lamhay............
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

December K mahenay main
Hazaroon Saal Pahlay Jab

Teray Waday K Honatoon Ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hanth Choomay Thay !

meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !

aur .......
Hawa Ko apni Chahat Ki
Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa !

Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian !

Sama'at ....ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay !

Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay!

Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !

Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Too.......
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay

December ....
ab Bhe Tera muntazir Hay !!



 ****************************






 ****************************







 ****************************



 ****************************


 ****************************

****************************
 ****************************

****************************


 ****************************


 ****************************

December Tum Na Jao Na..

Abhi Lamhe Nahi Bikhrey,
Abhi Mosam Nahi Bichrey,
Mere Kamrey Ki Thandak Me,
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai,
Meri Dairy K Kuch Safhe,
Abhi Kuch Keh Nahi Paye,

Mere Angan K Sab Podey,
Abhi B Gungunatey Hein

Mere Bejaan Hontoon Pr,
Abhi Muskaan Baqi Hai,
Kisi K Lot Any Ka Abhi
Imkaan Baqi Hai,


December..!!
Baat Ik Sun Lo!

Sonu!
Tum Maan Jao Na!

K Jab Tak Wo Nahi Aata,
December Tum Na Jao Na..


 ****************************



Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
Cheekhtey Hue Khuwab
Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
Jagti Subah Ko
Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
Safar Zindagi Hay
Safar Aagahi Hay
Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
Mery Paish-o-Pass
Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
Darindoo Ki Surat
Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
Magar Saal k Aakhri Din
Nihayet Kathin Hain
Har Ik Simt Laashon k Anbaar
Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
Kahan Tak Koi Dekh Paye?
Hawaon Mein Barood Ki Baas
Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
Mery Milney Walon!
Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
To Milna!!
k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
Yeh Bujhta Hua Dil
Dharakta To Hay
Muskurata Nahi
December Mujhay Raas Aata Nahi...


 ****************************

 ****************************
Suno...!!!
Guzarta Hua Saal Jaisey Bhi Guzraa
Magar Saal Kay Aakhri Din
Nihaayat Kathhin Hain..
Suno...!!!
Naye Saal Ki Muskuraati Hui Subha
Yeh Bujhhta Hua Dil Dharakta To Hai..
Muskuraata Nahi..
December Mujhey Raas Aata Nahi..!!


 ****************************

 ****************************

     




دسمبر کی اُداس رُت لوٹ آئی ہے

نمی آنکھوں میں لئے

اور کہہ رہی ہے مجھ سے

کہ

تیرے واسطے اب کی بار بھی

میرے دامن میں

صرف تنہائی ہے ۔۔۔۔


 

 ****************************
 ****************************









دسمبر



مجھ سے پوچھتے ہیں لوگ


کس لئیے دسمبر میں


یوں اداس رہتا ہوں


کوئی دکھ چھپاتا ہوں


یا کسی کے جانے کا


سوگ میں مناتا ہوں




آپ میرے البم کا


صفحہ صفحہ دیکھیں* گے


آئیے دکھاتا ہوں


ضبط آزماتا ہوں



سردیوں کے موسم میں


گرم گرم کافی کے


چھوٹے چھوٹے سپ لے کر


کوئی مجھ سے کہتا تھا


ہائے اس دسمبر میں


کس بلا کی سردی ہے


کتنا ٹھنڈا موسم ہے


کتنی یخ ہوائیں ہیں



آپ بھی عجب شے ہیں


اتنی سخت سردی میں


ہو کے اتنے بے پروا


جینز اور ٹی شرٹ میں


کس مزے سے پھرتے ہیں



شال بھی مجھے دے دی


کوٹ بھی اڑھا ڈالا



پھر بھی کانپتی ہوں میں



چلئیے اب شرافت سے


پہن لیجئے سویٹر


آپ کے لئیے میں* نے


بن لیا تھا دو دن میں



کتنا مان تھا اس کو


میری اپنی چاہت پر



اب بھی ہر دسمبر میں


اسکی یاد آتی ہے



گرم گرم کافی کے


چھوٹے چھوٹے سپ لے کر


ہاتھ گال پر رکھے


حیرت و تعجب سے


مجھ کو دیکھتی رہتی


اور مسکرا دیتی



شوخ و سرد لہجے میں


مجھ سے پھر وہ کہتی تھی


اتنے سرد موسم میں


آدھی سلیوز کی ٹی شرٹ!ٓ


اس قدر نہ اترائیں


سیدھے سیدھے گھر جائیں


اب کی بار جب آئیں


براؤن ٹراؤزر کے ساتھ


بلیک ہائی نیک پہنیں


کوٹ کوئی ڈھنگ سا لے لیں


ورنہ میں* قسم سے پھر ایسے روٹھ جاؤں* گی


سامنے نہ آؤں گی


ڈھونٹتے ہی رہئیے گا


پاس بیٹھے ابّو کے


پالٹیکس پر کیجئے گرم گرم ڈسکشن


کافی لے کے کمرے مِیں مَیں تو پھر نہ آؤں* گی


خالی خالی نظروں* سے آپ ان خلاؤں* میں


یوں ہی تکتے رہئیے گا


اور بے خیالی پر ڈانٹ کھاتے رہئیے گا



کتنی مختلف تھی وہ


سب سے منفرد تھی وہ


اپنی ایک لغزش سے


میں نے کھو دیا اسکو



اب بھی ہر دسمبر میں


اسکی یاد آتی ہے


****************************
 ****************************


Osey kehna December aa gia hi..
December ke guzarty hee..
Bars aik aur mazi ki chaao'n me doob jaye ga..
Osey kehna December Laot aye ga..
mgr jo khoon so jaye ga jismo'n me..
Na jagey ga..!
Osey kehna Hawaie'n sard hen, aur zindagi ke Kuhrey..
Dewaro'n me Larzaa'n hen..
Osey kehna shagofey Tehnio'n me so rahy hen..
Aur un pe barrf ki chaadr bichi hi..
Osey kehna agr suraj na nikley ga...
to kaisy barrf piglay ge..
Osey kehna Laot aye..
Osey kehna Laot aye..
Osey kehna December aa gia hi....!


****************************
 ****************************



Dekh December !
Ab mat ana
Dekh December !
Mere andar kitnay sehra phail chukay hain
Tanhai ki rait ne mere
Saaray dariya paat diye hain
Ab main hoon
Aur mere banjhar pan ki bojhal ta hai
Dekh December !
Teri baraf shabo'n main
Teri bekhuwab shabo'n main
Khuwab sweater kon bunay ga
Rooh k andar girti barfain kon chunay ga
Dekh december !
Apnay dukh ki baraf pehen kar
Dhoop Diyaro'n tak mat jana
Mere piyaro'n tak mat jana
Dekh december
Ab mat ana
Ab mat ana ...!

****************************
 ****************************


Kisi ko dekhoon to mathay pey mahosaaal milein
kahein bikharti hoi dhoop mein sawaal milein
aao khuch der Decvember ki dhoop mein bethein
yeh fursatein hamein shayad naa aglay saal milein




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...