Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, December 14, 2011

Karb Ke Shahar Se Nikle To Ye Manzar Dekha

Karb Ke Shahar Se Nikle To Ye Manzar Dekha
Ham Ko Logon Ne Bulaya Hame Chhu Kar Dekha

Jab Bhi Chaha Hai Ki Malabus-E-Wafa Ko Chhu Len
Misl Khushboo Koi Udtaa Hua Paikar Dekha

Wo Barsaat Main Bhiga To Nigahen Utthin
Yon Laga Hai Koi Tarsha Hua Patthar Dekha

Zindagi Kitni Pareshaan Hai Ye Socha Bhi Na Tha
Is Ke Atraaf Main Sholon Ka Samandar Dekha

Aa Gai Gam Ki Hawa Phir Tere Gesu Chhukar
Hamne Virana-E-Dil Phir Se Mu’attar Dekha

Wo Jo Udti Hai Sadaa Dasht-E-Wafa Main “Afzal”
Usi Mitti Main Nihaan Dard Kaa Gauhar Dekha






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...