Sitaron se age jahan aur bhi hain
Abhi ishq k imtihan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahin ye fazayen
Yahan saikaron karawan aur bhi hain
kanat na kar alam-e-rang-o-bu par...
.chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya gam
Maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaz hai kam tera
Tere samne asman aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain
Gae din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere razadan aur bhi hain !!!!!!
No comments:
Post a Comment