Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 15, 2011

Rat katti rahi Chand dhalta raha,

Rat katti rahi Chand dhalta raha,
Aatish-e-hijar mei koi jalta raha..


Ghar ki tanhaiyan dil ko dasti rahen,
Koi bechain karwat badalta raha..

Aas-o-umeed ki shama roshan rahi,
Ghar ki dehleez koi takta raha..

Raat bhar chandni gungunati rahi,
Raat bhar koi tanha sisakta raha..

Ashk palkon pe aa k bikharte rahe,
Naam lab pee tera larazta raha..

Aaj phir rat ho gai basar..
Aaj phir koi khud se ulajhta raha..



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...