Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Phir bhi bethi hai khizaan baagh ki dewaar k saath,

Phir bhi bethi hai khizaan baagh ki dewaar k saath,
Jub k patta bhi nahi hai koi ashjaar k saath,

Aik hai meri ana aik ana kis ki hai?
Kis ne dewaar bana di meri dewaar k saath?

Tum barre log ho seedhe he guzar jaate ho,
Werna kuch tang si galiyan bhi hain bazaar k saath,

Mustaqil dard ka souda hai zara narmi se,
Kuch riayat bhi to kerte hain khareedar k saath,

Mere ashkon pe tujhe itna tajjub kyon hai?
Tu ne chashme nahi dekhe kabhi kuhsaar k saath,

Main ne pehchaan lia door se ghar tera hai,
Phool lipte howe dekhe jahaan dewaar k saath,

Lafz nishtar ki tarah dil main utar jaate hain,
Khat mohabbat ka bhi likhta hai talwaar k saath...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...