Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, November 2, 2011

Na samaton main tapish ghule, na nazr ko waqf_e_azaab ker,

Na samaton main tapish ghule, na nazr ko waqf_e_azaab ker,
Jo sunai de usay chup sikha, jo dikhai de usay khwab ker,

Abhi muntashir na ho ajnabi, na wisaal rut k karam jataa,
Jo teri talash main gum hoye, kabhi un dino ka hisaab ker,

Mere sabr pe koi ajar kyon, meri dehleez pe ye abar kyon?
Mujhe orrhne de aziyaten, meri aadaten na kharab ker,

Kahin aablowon k bhanwer bajen, kahin dhoop roop badan saje,
Kabhi dil ko Thal ka mizaj de, kabhi chashm_e_tar ko Chinab ker,

Ye hujoom_e_shaher_e_sitam-garaan na sune ga teri sada kabhi,
Meri hasraton ko sukhan suna, meri khawhishon se khitab ker,

Ye jaloos_e_fasl_e_bahaar hai, tehi dast yaar saja isay,
Koi ashk phir se sharaar bana, koi zakhm phir se gulaab ker...!!!






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...