Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, November 2, 2011

Malaal us ko bichharrne ka kuch to howa ho ga,

Malaal us ko bichharrne ka kuch to howa ho ga,
Kaha na ho ga kisi se kuch bhi, suna to ho ga,

Wisaal lamhon ka aks sochon main jub bhi jaaga,
Yeh Hijr aankhon main rait ban ker chubha to ho ga,

Kabhi kabhi to hawayen aa aa ker poochti hain,
Wo shaqs apna bohat hai, apna laga to ho ga,

Ujarr gaya hai gulaab jese, to kia howa phir,
Yeh dil musafir firaaq rut ka basa to ho ga,

Wo baad muddat mila to poocha udaas kyon ho,
Kaha, jo sholon main ghir gaya tha, jala to ho ga,

Hazaar saanpon ka zaher pee ker wo jee raha tha,
Werna yaadon ne naag ban ker dasa to ho ga,

Wafa ki waadi main, khaar ratoon ko jaagte hain,
Gulaab rut se qasoor koi howa to ho ga,

Chalo sitaare to saare gheron ne baant daale,
Batool qismat k pass koi diya to ho ga...!!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...