Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, November 5, 2011

Mohabbat ka bharam hota to kuch soch ker jaate,

Mohabbat ka bharam hota to kuch soch ker jaate,
Werna zindagi ban ker mere hum-dum guzar jaate,

Tahke haare parindon ko jo dekha to khayal aaya,
K koi muntazir hota to hum bhi apne ghar jaate,

Main khha k dard ki thokar abhi tak hosla-mand hon,
Ye thhokar tum ko jo lagti to bus tum bhi bikher jaate,

Is tanhai ka hum pe barra ehsaan hai yaaron,
Na deti saath ye apna ti jaane hum kidher jaate,

Ager hum ko yaqeen hota palat ker tere aane ka,
Tou phoolon ki tarah hum bhi naye rang se nikher jaate...!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...