Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 15, 2011

Kya aah bharay koi

Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuch oonchi
Kya nazm likhay koi
Jab khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gada’ei ka
Shaa’ir ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jab shair utarnay say
Badal say zara oopar
Taaron say zara neechay
Kya khaak likhay koi
Jab khaak kay medaan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uth’ta
Jab shakh pay imkan ki
Is dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Ik neelay sitaray say
Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say
Takra kay jabeen apni
Ik shakhs nahin rota
Jab neend kay shedaei
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binaei say dartay hain
Reh reh kay andheray say
Aankhon mein utartay hain
Aankhon kay ujalon say
In phool say bachchon say
Keh do keh na ab nangay
Paa’on say chalein ghar mein
Is farsh pay mitti kay
Ab ghaas nahin ugti
Ab saamp nikaltay hain
Deewar say aur dar say
Ab noor ki boondon say
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Pa lenay mein, khonay mein
Jab baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...