Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Kon se dukh ki baat karen,

Kon se dukh ki baat karen,

Tum to bus aik he dukh poochte ho,

Kon se dukh ki baat karen baat zara ye to bata,

Mousamon, sard hawaon ki maseehai ka dukh,

Raah ki dhool main bikhri huwe beenai ka dukh,

Sang k shaher main khud dukh se shanasai ka dukh,

Ya kisi bheegti barsaat main tanhai ka dukh,

Kon se dukh ki karen baat ke dil ka darya,

Itni tughyani ki zad per hai k kuch yaad nahi,

Kub humen bhool gaya kon se herjai ka dukh,

Tum to bus aik hi dukh ka poochte ho...!!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...