Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Ghazlen to kahi hain kuch hum

Ghazlen to kahi hain kuch hum, na un se na kaha ahwal to kia,
Kal misl-e-sitaara ubhrain ge, hain aaj ager pamaal to kia,

Jeene ki dua dene wale ye raaz tujhe maloom kahan,
Takhleeq ka ik lamha hai bohat, bekar jiye sou saal to kia,

Sikkon k arz jo bik jaye, wo meri nazar main husn nahi,
Ae shama-e-shabistan-e-doulat! Tu hai jo pari tamsaal to kia,

Her phool k lub per naam mera, charcha hai chaman main aam mera,
Shohrat ki ye doulat kia kum hai, ger pass nahi maal to kia,

Hum ahl-e-mohabbat pa lain ge apne he sahare manzil ko,
Yaraan-e-siyasat ne her soo phelayen hain rangeen jaal to kia,

Duniya-e-adab main ae Jalib apni bhi koi pehchaan to ho
Iqbal ka rang urrane se tu ban bhi gaya Iqbal to kia...!!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...