Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Jub daher k gham se amaan na mili

Jub daher k gham se amaan na mili, hum logon ne ishq ejaad kia,
Kabhi shaher-e-butaan main kharab phire, kabhi dasht-e-junoon abaad kia,

Kabhi bastiyan ban, kabhi koh-o-damn, raha kitne dinon yahi jee ka chalan,
Jahan husn mila wahan beth rahe, jahan pyaar mila wahan saad kia,

Shab-e-maah main jub bhi ye dard uthha, Kabhi bait kahe,
Kabhi koh se ja sur phhorr mare, kabhi Qais ko ja ustaad kia,

Yahi ishq bil-aakhir rog bana, K hai chah k saath bajog bana,
Jise banna tha aish wo sog bana, Barra man k nagar main fasaad kia,

Ab qurbat-o-sohbat-e-yaar kahan, lab-o-aariz-o-zulf-o-kinaar kahan,
Ab apna bhi Meer sa aalam hai, tuk dekh lia jee shaad kia...!!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...