Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Khwaab saath rehne k nit-naye dikhata hai,

Khwaab saath rehne k nit-naye dikhata hai,
Ye jo asal mousam hai ye guzarta jaata hai,

Khud ko sabz he rakha aansuon ki baarish main,
Werna hijr ka mousam kis ko raas aata hai?

Tu hawaon ka mousam tujh ko kia khabar jaanan?
Gard-e-bud-gumani se dil bhi toot jaata hai,

Aik tum he thay, werna aadmi mohabbat main,
Laakh aayen deewaren raaste banata hai,

Hum to khair nadaan thay muntazir rahe werna,
Kon apni beenai is tarah ganwata hai?

Kitne khwaab aankhon main zakham banne lagte hain,
Jub hawa k honton pe tera naam aata hai,

Sainkrron dukanen hain wisl k chiraagon ki,
Kon hijr main apna ab lahoo jalata hai...???




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...