Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Mujhe mahsoos hota hai

Mujhe mahsoos hota hai

K main un sarhadon pe hoon

Jahan se aakhri lamha bhi aa ker lout jata hai

Wafa ki jis gali main

Zindagi ki shaam hoti hai

Mohabbat be-yaqeeni main kahin be-naam hoti hai

Magar kuch rang ab bhi aankh ki

Basti main rehte hain

Mere sub khwaab jese chhup k

Sargoshi main kehte hain

Koi lamha, koi bhi aik lamha

Ab humare naam ho jaye

Magar main kia kahoon un se

K main un sarhadon pe hoon

Jahan se aakhri lamha bhi aa ker lout jaata hai...!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...