Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Aik roz koi to soche ga,

Aik roz koi to soche ga,

Aik roz koi to soche ga,

Farzanon ki is basti main,

Aik shaqs tha pagal pagal sa,

Per baaten theek he kehta tha,

Baarsih ki tarah pur-shor na tha,

Dariya ki tarah chup rehta tha,

Jin se usay pyaar bala ka tha,

Taane bhi unhin k sehta tha,

Aik shaqs tha pagal pagal sa,

Per baaten theek he kehta tha,

Aik roz koi to soche ga,



Duniya ne usay kuch bhi na dia,

Per us ne jug ko pyaar dia,

Jaan rote rote kho betha,

Dil hanste hanste haar dia,

Jo nazam likhi bharpoor likhi,

Jo shair dia shehkar dia,

Kyon jeete jee dargor howa,

Kis chah pe tan man waar dia,

Tha dushman kon bechare ka,

Kis ranj ne us ko maar dia,

Aik roz koi to soche ga,

Aur pehron beth k roye ga...!!!

+

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...