Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, October 10, 2011

Tum Se Ummeed

Tum Se Ummeed-e-Wafa Kaisi?
Talluq Toot Jaye Jab
Muhabbat Rooth Jaye Jab
To Phir Rasm-e-Dua Kaisi?
Milan Ki Iltija Kaisi?
Bhanwar Mein Dolti Kashti Pe Sahil
Ki Tamanna Kya?
Ukharti Saans Hoon To Zindagi Ki
Aarzoo b Kya?
Jo Manzil Kho Chuki Hay Uss Ki Phir
Se Justaju b Kya?
Raza-e-Dost Par Acha,Sar-e-
Tasleem Kham Karna
Sisaknay Se Yehi Behtar Hay Na
Ummeed Hi Marna
Magar Dil Ne Tumhein Kis Wastay
Yaad Rakha Hay?
Tumhein Kiun Shairi Mein Aaj Tak
Aabad Rakha Hay?
Abhi Tak Main Ne Kiun Khud Ko
Bohat Barbad Rakha Hay?
Hawa k Dosh Par Kiun Naghma-e-
Faryad Rakha Hay?
Judai Denay Walay Aashnayii Ki
Qasam Tum Ko
Tumhari BeWafayii Kuj Adayii Ki
Qasam Tum Ko
Mujh Ko Itna Bata Dena
Wafa Ki Chahtoon Ki Mashalein
Kaisy Bujhatey Hain?
Nishan Kaisy Mitatey Hain?
Bhulana Ho Jinhein
Un Ko Bhala Kaisy Bhulatey Hain?
Judaii Denay Walay....... !!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...