Mumkin ho aap se tou bhula dejieye mujhey
Pathhar pe houn lakeer, mitaa dejieye mujhey
Her roz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Mein kya houn, aik baar bata dejieye mujhey
Merey siwa bhi hain kai mozo-e-guftagoo
Apna bhi koye rang dikha dejieye mujhey
Ki mein ne apne zakhm ki tashheer ja baja
Mein manta houn jurm, sazaa dejieye mujhey
Qaayem tou ho sake koye rishta gohar ke saath
Gehrey samandaroun mein baha dejieye mujhey
Shab bhar kiran kiran ko tarasney se faayeda
Hai tairgi tou aag laga dejieye mujhey
Jaltey dinoun mien khud pas-e-dewaar baith ker
Saaye ki justaju mein laga dejieye mujhey
Youn tou shola-e-jaan sard ho chukka abhi
Lekin sulag utthoun tou hawa dejieye mujhey
No comments:
Post a Comment