Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 9, 2011

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete.

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete.

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete.

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete.

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete.

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye Hum kO
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...