Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, June 10, 2011

Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hai,

Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hai,
 Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hai,
Ek Ajnabi Ki Tarah Raaste Badalte Hai,
Daraaz Ho Gam-E-Hijraan Ki Haasil-E-Hijraan,
Wo Hausle Hai Jo Aagosh-E-Gam Mein Palte Hai,
Rawa Nahi Hai Gam-E-IshQ Is Kadar Bhi Gurur,
Tere Bagair Bhi Duniya Ke Kaam Chalte Hai,
Kabhi Jo Had Se Badhi Unki Yaad To Samjhe,
Ke Unke Dil Mein Bhi Kuch Valvale Machalte Hai,
Shab-E-FiraaQ Kuch Aisi Bhi Teergi To Nahi,
Kabhi Kabhi Sar-E-Mizgaan Charag Jalte Hai,
Ab Unke Gam Se Bhi Mehroom Ho Na Jaye Kabhi,
Wo Janate Hai Ke Is Gam Se Dil Behelte Hai...





Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana,
Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana,
Wo Nazre Milana Milake Jhukana,
Lajate Hue Teri Palkon Ka Pehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,
Wo Saawan Ki Baatein Pahadon Ka Jharna,
Un Geele Se Kapdon Mein Tera Aahein Bharna,
Saagar Si Aankhon Mein Main Utra Tha Gehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,
Wo Chhoti Si Baat Pe Tera Rooth Jaana,
Bichhadte Hue Tera Haath Chhut Jana,
Tere AshQon Mein Bujhta Wo Suraj Sunehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,
Wo Meethe Se Hothon Se Meethi Si Baatein,
Mohabbat Ke Nagmo Se Bheegi Si Raatein,
Teri Kami Se Jalta Ye Dil Ye Sehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra...




Bas KHUDA Ka Shukr Hai Jo Bhi Hua Achha Hua



Tumne Dil Ki Baat Keh Di Aaj Ye Achha Hua,
Hum Tumhe Achha Samajhte The Bada Dhoka Hua,
Jab Bhi Humne Kuch Kaha Uska Asar Ulta Hua,
Aap Shayad Bhulte Hai Baraha Aisa Hua,
Aapki Aankhon Mein Ye Aansu Kahan Se Aagaye,
Hum To Deewane Hai Magar Aapko Ye Kya Hua,
Aap Kisise Kya Kahein Hum Apni Daastan,
Bas KHUDA Ka Shukr Hai Jo Bhi Hua Achha Hua...


Sanam Ne Chashm Ko Jis Raah Ka Intezaar Diya

 Sanam Ne Chashm Ko Jis Raah Ka Intezaar Diya,
Hum Aise The Ke Ye Jeewan Wahin Guzar Diya,
Gayi Wo Umr Magar Tees Na Gayi Dilse,
Diya Jo Zakhm Wafa Ne So Yaadgaar Diya,
Jigar Ke Waaste Paida Sharaab Kar Daali,
Khuda Ne Dil Ko Na Koi Bhi Gam-Gusaar Diya,
Jahan Kisiko Lagaya Hai Apne Seene Se,
Usi Ne Taak Ke Khanjar Wahin Utaar Diya,
Bhale Hi Chhod Diya Raaste Mein Yaaron Ne,
Hamari Zaat Ka Aakhir Koi Aitbaar Diya,
Dhula Dhula Sa Ye Chehra, Ye Surkh Si Aankhein,
Tumhare Gam Ne Hamein Aur Bhi Nikhaar Diya,
Mere Badan Pe Ye Aankhein Kuch Aisi Lagti Hai,
Kisi Ki Qabr Pe Jaise Ho Sogwaar Diya,
Dilon Se Khelna Aadat Badi Kharab Thi,
Kisi Ne Khel Ke Tumse Tumhe Sudhaar Diya...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...