Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, June 10, 2011

Kaha tha kis ne ke ehad-e-wafa karo uss se

Kaha tha kis ne ke ehad-e-wafa karo uss se
 Jo yoon kiya hai to phir kyun gila karo uss se

 Ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
 Zara fasana-e-dil ibtida karo uss se

 Yeh kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaney kaho
 Kabhi to uss ke bahaney suna karo uss se

 Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho ke na ho
 Jo dil mein ho'n wohi baatein kiya karo uss se

 Faraz tark-e-ta'alluq to khair kiya hoga
 Yehi bahut hai k kam kam mila karo uss se



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...