Hawaa kay waastay ek kaam cHoR aayi hooN
Mai Diya jala k sar-e-shaam cHoR aayi hooN
AmaanteY shahar-o-shaam cHor aayi hooN
Mai Kahi charaag kahi jam cHor aayi hooN
Kabhi Naseeb ho agar fursat to use padh lena
Voh ek khat jo tere naam cHor aayi hooN
Key Koi charaag sar-e-rahgujar nahi na sahi
Mai naksh-e-paak hargaam cHor aayi hooN
Abhi to aur bhi bahut us par tafsire* hoNge
Mai goofTagu maiN Jo Ibhaam* cHor aayi hooN
Ab vahaa se kadam bhi na badh sakenge aage
Mai jahaaN gardish-e-ayaam* cHor aayi hooN
Key cHain se ji saku kabra mai kazaa* aane ke bad
Tere ishq ki manzileN nakaam cHor ayai hooN
MujHe jo dhoondhNa cHaahe vo dhoondh le jaaye
Apne kucche ab mai gumNaam cHor aayi hooN
No comments:
Post a Comment