Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 4, 2011

Chhoota Jo Tera Haaath Tou Ham Tooot Ke Roye.....

Chhoota Jo Tera Haaath Tou Ham Tooot Ke Roye.....
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye.......

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne...
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye.........
...
Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka....
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye.........

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se............
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye.................

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath........
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye.............

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka....
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye............

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki................
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye..............

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad........
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye.....

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi...
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye..........

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa........
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye.......

Hum Karte Rahe Aaj Talak 'Us Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye..........

 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...