chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shaamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar
kis tarah katti hain raten us ki
door reh kar bhi sada rahti hai
mujh ko thamay hue bahain us ki
No comments:
Post a Comment