Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, May 12, 2011

Wo larki shayed pagal thi

Wo larki shayed pagal thi,
Din raat hi gumsum rehti thi
kuch sharm_o haya ka pekar thi
kuch narm mizaaj rakhti thi
aankhon mein neem nasha sa tha
Baaton se Deewani lagti thi
hamraz na tha us ka koi
bas khud se baatein karti thi
jazbaat chupaaye rakhti thi
darti thi juda hone se
Ya pyar se shayed darti thi!
kya sabr tha us dewaani ka
kya zabt_e Muhabat rakhti thi
hai rashk mujhe us paglii pe
Kya khoob Muhabat karti thi...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...