Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 14, 2011

Magroor hi sahi mujhe acha bahot laga


Magroor hi sahi mujhe acha bahot laga
wo ajnabi to tha magar apna bahot laga
rootha hua tha hans to pada mujh ko dekhkar
mujh ko to iss qadar bhi dilaasa bahot laga
sehra mein jee raha tha jo dariya-dili ke saath
dekha jo gaur se to wo pyaasa bahot laga
wo jis ke dum-qadam se thee'n basti ki raunkein
basti ujad gaee to akela bahot laga
lipta hua ho jaise kuhar mein jaise khizaa'n ka chand
maile libaas mein bhi wo pyaara bahot laga
resham pehan ke bhi meri qeemat na badh saki
khaddar bhi uss ke jism pe mehnga bahot laga
'Mohsin' jab aaeene pe meri saans jamm gaee
mujh ko khud apna aks bhi dundhla bahot laga.





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...