Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 14, 2011

hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein

hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein
chale aaye the tum
khushiyon ki saugaat aur pyaar ke rang
sang laaye the tum

ghum ke gumnaam andhere mein
roshni ban kar chhaaye the tum
chahat ka ehsaas liye sukoon ban kar
dil mein samaye the tum

khushiyon se rangeen thi duniya
har pal jo mere paas the tum
ghum ke badal gehre hain
jabse juda hue ho tum

kyun yahan bekas akeli hoon main
kyun wahan itne tanhaa ho tum
kyun toote sapne woh sare
kyun itni durr chale gaye ho tum

dil ki bebasi kaise kahun
aankhon se aansoo banke behte ho tum
tarasti hoon tere pyaar ko main
pal pal mujhe yaad aate ho tum

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...