Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 14, 2011

Chand Simte Hue Ashaar Hon Main


My HearT Favorite ...

Poochte ho to suno kaun hoon main
chand simte hue ashaar hoon main


Sirf tareef se yahan kuch nahi hota
aapki duaon ka talabgaar hoon main



Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh

log kehte hai dil-e-beemar hoon main


Bolun agar khara to hoon shamsheer
aur agar likh daalon to talvaar hoon main

Tareef karne par agar utar aaon kabhi
to gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main



Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob
shayeri ka sar-taj hoon, shahkaar hoon main

Lafzon se yun khelna sabko nahi aata
mujhe aata hai, samajhdaar hoon main



Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost
math bolo ke 'Tanha' gunhagaar hoon main......!!!
Bass Aisa Hon Mein.....!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...