Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, May 11, 2011

Aao...

Aao...
or na socho.
soch ke kia paao gey..
jitna bhi samjhey ho.
itna hi pachtaao gey.
Aao..
or na socho..
tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri dekhi bhali hai.
jane bhi do.
is ka kab tak sogg manana..
yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot ke hathon.
woh mushkil asaan karen hum.
tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa karne ki baten..
jeene ki...
marne ki baten..
hum dono yun waqt guzaren.
.me tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki koi taabeer na ho.
jitne din yeh mail rahe ga..
dekho acha khel rahe ga.
or kabhi dil bhar jaye to.
kehdena tum..
beet gaya milne ka mausam.
Aao.
or na socho...
soch ke kia pao gey...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...